Shri Mahakal Chalisa Lyrics in English
॥ Doha ॥
Shri Mahakaal ki mahima aprampaar । Puri karte kamna ki kartar ।
vidya-Buddhi-Teej-Bal-Dudh-Put-Dhan-Dhaan । Apne Akshay kosh se bhagwan karoo pradan ॥
॥ Chalisa ॥
Jay Mahakaal kaal ke nashak ।
Jay trilokpatti moksh pradyak ॥
Mrityunjaya bhavabadha hari ।
Shatrunjaya karo Vijay hamari ॥
Akash mein tarak lingam ।
Patal mein Hatkeshwaram ॥
Bhulok mein Mahalaleshwaram ।
Satyam-Shivam aur Sundaram ॥
Kshipra Tat ukhar shiv bhoomi ।
Mahakaal van pavaan bhoomi ॥
Ashutosh bhole bhandari ।
Natraj Bhaghambardhari ॥
Shristi ko prarambh karatei ।
Kaalchakr ko aap chaleti ॥
Teerth avanti mein hai bastei ।
Darshan karte sankat harte ॥
Vish peekar shiv nirbhai karatei ।
Neelkantha mahakaal kahalate ॥
Mahadev yeh mahakaal hai ।
nirankaar ka roop dhare hain ॥
Jyotimaya-ishaan Adhishwar ।
param brahma hain Mahakaleshwar ॥
Aadi sanatan-swain Jyotishwar ।
Mahakaal prabhu hain Sarveshwar ॥
Jai mahakaal maheshwar jai-jai ।
Jai harsiddhi maheshwari jai-jai ॥
Shiv ke saath shiva hai shakti ।
Bhakto ki hai raksha karti ॥
Jai Nageshwar-Saubhagyeshwar ।
Jai bhole baba siddheshwar ॥
Rinmukteshwar-Shwarn Jaleshwar ।
Aruneshwar baba Yogeshwar ॥
Punch-ashth-dradas lingo ki ।
Mahima sabse niyari inki ॥
Shrikar gop ko darshan de tari ।
Nand baba ki peedhiyan sari ॥
Bhakth chandrasen raja sharan ayee ।
Vijayi kra ripu-mitr banaye ॥
Daitey dooshan bhasm kiye ।
Aur bakhto se mahakaal kahaye ॥
Dusth daitya andhak jab aya ।
matriarcho se nasth karaya ॥
Jagajjani hai maa giri tanya ।
Shri Bholeshwar ne maan baraya ॥
Shri hari ki taryani se har-har ।
Kshipra bhi laye gangadhar ॥
Amritmay pawan jal paya ।
Rishi devo ne punya bharaya ॥
Namah: Shivya mantra panchakshari ।
Inka mantra bara bhayahari ॥
Jiske jap se mitti sari ।
Chinta-klesh-viprda sansari ॥
Sir jatta-jute-tan bhasm saje ।
Dum-dum-damru trishul saje ॥
Shamshan vihari bhootpati ।
Vishadhar dhari jai umapati ॥
Rudraksha vibhushit shivshankar ।
Tripund vibhushit pralayankar ॥
Sarvsaktiman-sarv gundhar ।
sarvagya-sarvpari-jagadishwar ॥
Anadi-anant-nitya-nirvikari ।
Mahakaal prabhu-rudra-avatari ॥
Dhata-vidhata-aj-avinashi ।
mritu rakshak sukhkrashi ॥
Tridal-trinetra-tripunda-trishuldhar ।
Trikaya-trilokpati-mahalaleshwar ॥
Tridev-triye hai ekeshwar ।
Nirakar shiv yogishwar ॥
Ekadash-prana-apan-vyayaan ।
Udyan-naag-kurm-krakal samaan ॥
Devdutt dhananjay rahe prasann ।
Maan ho ujwaal jab karein dhyaan ॥
Aghor-ashutosh-jai audhardani ।
Abhishek priya shri vishweshwar dhyani ॥
Kalyanmay-anand swarup shashi shekhar ।
Shri Bholeshankar jai mahakaleshwar ॥
Prtham pujya shri ganesh hain ।
ridhi-siddhi sang, Devo ke senapati, mahavira skanda ॥
Annapurna maa parvati, jag ko deti anna ।
Mahakaal van mein base, Mahakaal ke sang ॥
॥ Doha ॥
Shiva kahein jag ram hain, Ram kahein jag shiva ।
Dhanya-dhanya maa sharda, aisi hi do preet ॥
Shri Mahakaal chalisa, prem se, nitya karein jo path ।
Krypa mile mahalkaal ki, siddhi hoi sab kaaj ॥
॥ Iti Shri Mahakaleshwar Chalisa Sampurna ॥











